Main Vo Naghma Jo Roz Naye Saazon Me Bajta
Shayar Ka Tasavvur To Uski Tanhaiyun Se Sajta
Dekhkar Aaiyna Tasalli Kisko Dete Ho
Imaan Zinda Hai To Dil-‘e-‘aaiyna Dil Se Chamakta
Roshni Andheron Ki Andhere Roshni Ke Talabgaar
Kudrat Ki Aashiqui Me Din-‘o-‘raaat Ishq Se Sajta
Khabardaar Mujhko Karke Phir Mujhse Bekhabar Ho Gaya
Kya Kahen Ye Shaqs Unka Karam Hi Ise Samajhta
Taazgi Gham Se Rahti Gul-‘e-‘zindgaani Ki
Khushiyun Ka Qaarobaar Aalam-‘e-‘dard Se Mahakta
Beshak Kisi Ka Nahi Main Mera Koi Aur Nahi
Dunia Use Bhi Nahi Kahte Insaan Jise Kahta