Main Vo Ladki Hoon
Jiske Jeevan Mein Andhera Ghanaa Hai
Jiska Badan Aansuon Se Bana Hai
Har Taraf Gum Ki Parchhai Hai Jiske
Chaaro Aur Dukho Ki Khai Hai Jiske
Toofanon Se Jujh Rahi Hai Jo Har Pal
Jiske Jeevan Mein Nahin Hai Koi Bhi Sunahra Kal
Main Vo Ladhki Hoon
Armaanon Se Khelte Aaye Hai Log Jiske
Jazbaato Ko Kuchalte Aaye Hai Har Aur Jiske
Har Raat Kisi Ka Pyaar Hoon
Par Andhere Ki Antim Pal Ke Baad Bekaar Hoon
Izzat Nahin Jiski Duniya Ki Nazron Mein
Par Lutaate Hai Jis Par Paisa Log Raaton Ke Andhere Mein
Main Vo Ladhki Hoon
Kya Mil Paayegi Mukti Mujhe Is Darindgi Bhare Sansaar Mein
Kya Ji Paaongi Jeevan Apna Main Bhi Ek Sukhi Parivaar Mein
Joojh Rahi Jo Har Pal In Savaalon Se
Puch Rahi Jo In Ujaaion Ke Rakhvaalon Se
Main Vo Ladhki Hooon
Raaton Ko Jo Mujhse Apni Raat Sajaate Hain
Din Mein Vo Mujh Par Hi Ungli Uthaate Hain
Kyon Hoon Main Hi Badnaam Jisse Jabardasti Kaam Karvaate Hain
Vo Kyon Hai Ab Bhi Izzatdar Jo Hamare Paas Khushi Se Chale Aate Hain
Guzaarish Karti Hai Jo Samaaj Ke Rakhvaalon Se
Ki Mukt Karvaado Hamen Har Pal Ke Toofano Se
Main Vo Ladhki Hoon