Main Uska Hun Wo Is Ehsaas Se Inkaar Karta Hai
Bhari Mehfil Mein Bhi Ruswaa Har Baar Karta Hai
Yaki Hai Saari Duniya Ko Khafa Hai Humse Woh Lekin
Mujhe Maaloom Hai Phir Bhi Mujhi Se Pyaar Karta Hai
Main Jab Bhi Tez Chalta Hoon Nazaare Choot Jate Hain
Koi Jab Roop Gadhta Hoon To Saanche Toot Jate Hain
Main Rota Hoon To Aakar Log Kandha Thap Thapate Hain
Main Hasta Hoon To Mujhse Log Aksar Rooth Jate Hain
Mat Poooch Ki Kya Haal Hai Mera Tere Aage
Tu Dekh Ke Kya Rang Hain Tera Mere Aage
Sazi Hai Khushnuma Mehfil Sabhi Dildaar Bethe Hain
Jidhar Dekho Udhar Hi Ishq Ke Bimar Bethe Hain
Hanseeno Ki Adaon Pe Sabhi Dil Haar Bethe Hain
Hazaron Mar-Mite Aur Sekron Tayaar Bethe Hain