Main To Aik Samunder Hun
Jis Ki Tahoon Ko Smetna Na Mumkin Hai
Hazaroon Loog Aate Hain
Apne Dard , Apne Raaz Samete
Mere Ander Gharq Ho Jate Hain
Kabhi Hansta ,Gungunaata Deriya Aata Hai
Apni Hastee Se Be Khaber Aur
Bekhabri Mein Mujh Mein Zam Ho Jata Hai
Kaheen Se Ghusse Mein Bal Khaati
Bermami Se Machalti Nadee Aati Hai
Chupke Se Meri Aaghoosh Mein So Jati Hai
Maheenoon Ki Musafiraat Taye Kerta Karwaan
Hazaarha Sapnain Sajaye Aata Hai
Iska Mahal Numaan Langer Andaaz Jahaaz
Sahil Ko Kuch Door Choodne Ke Baad
Khamooshi Se Mujh Mein Panaah Dhoond Leta Hai
Sab Ke Armaan , Walwale Aur Sapne
Isi Khaamooshee Se Soo Jate Hain
Main To Aik Samunder Hun
Main To Her Aik Ka Ghaam Sahne Ki Taqat Rakhta Hai
Aur Her Aik Ko Gale Lagane Ki Salahiyat Rakhta Hun
Lekin Kia Kabhi Kisi Ne Mere Dard Ke Bare Mein Soocha Hai
Kia Kabhi Kisi Ne Meri Tadap Ke Bare Mein Soocha Hai
Jab Mera Dil Phat Ta Hai To Kia Hoota Hai
Meri Aik Chinghaad Si Sunayee Deti Hai
Jis Se Saree Duniyaan Kaanpti Dikhayee Deti Hai
Aur Mere Jazbaat Ke Raile Mein
Her Cheez Fana Hooti Dikhayee Deti Hai
Kia Jazeere, Kia Aatish Fishaan
Kia Mahal, Kia Khaalyaan
Sab Khamooshi Se Mujh Mein Samane Lagte Hain
Phir Meri Khamooshi
Badi Khamooshi Se Laut Aati Hai
Aur Her Koii Mere Qadmoon Mein
Apni Roodad Le Ker Aane Lagta Hai
Kuinke Main To Aik Samunder Hun
Her Aik Phir Se Mujh Mein Samane Lagta Hai
Apni Apni Rudaad Sunane Lagta Hai Aur
Main Phir Se Sab Ko Gale Lagane Lagta Hun
Kainke Main To Aik Samunder Hun