Main Teri Kriti Ko
Koti-Koti Pranaam Karta Hoon
Teri Kalpana Ke Aage
Sheesh Jhukaata Hoon
Teri Baareek Koshishon Kaa
Roj Abhinandan Karta Hoon
Tere Saaye Mein Rehne Kaa
Aaj Aavhaan Karta Hoon.
Raat Mein Bhook Se Sokar
Subah Gungaan Karta Hoon
Tere Aakaash Ko Pujoon
Teri Dharti Mein Rehta Hoon
Chitrakaari Teri Ajab Si
Roj Raaton Ko Taktaa Hoon
Teri Geeli Hui Koochi Se
Roj Snaan Karta Hoon
Tere Azaad Khayaalon Ko
Apni Awaaz Deta Hoon
Tere Kadmon Kii Aahat Ko
Kalam Se Gungunaata Hoon
Tu Hee Maalik Kalpana Kaa
Tujhe Aakaash Kehta Hoon
Kabhi Ooper Bhii Milta Tu
Kabhi Dharti Mein Paata Hoon
Tu Nahin Tu, Tu Hii Hai Tu
Kabhi Vichlit Main Rehta Hoon
Teri Haathon Kii Tasveerein
Manchalon Se Chupaata Hoon
Ey! Mere Chitrkaar
Ekk Guzaarish Main Karta Hoon
Meri Dharti Ko Hara Rakhna
Gagan Neela Hee Chahata Hoon
Teri Har Aakriti Aur Kriti Ko
Koti-Koti Pranaam Karta Hoon
Teri Kalpana Ke Aage Natmastak
Main Apna Sheesh Jhukaata Hoon