Main Tera Ham Mazahab Nahi To
Tera Koi Nahi To Bar Bar Kah Raha Hain
Par Ye Mera Jo Ansu Hain
Teri Hi Ankhon Se Bah Raha Hain
Jane Mera Ye Aabe-E-Dard
Kab Se Teree Ankhon Main Rah Raha Hain
Jane Kab Se Ye Teree Hee Ankhon Se Bah Raha Hain
Mera Gam Hindo Sahi
Ansu Ko Musalman Rahane De
Koyee Kaba Hain Teree Ankhen
Inko Musalman Ankhon Se Bahane De
Mian Apne Gam Se Koyee Artee Sunta Hoon
Ashkon Se Namaj Ka Mani Sunoonga
Main Sar Jhuka Ke Teree In
Bheegee Ankhon Ka Pani Chunoonga
Gam Se Chhoor Hone Ke Bad
Naya Mazahab Banta Hai Nayee Sarhad Hotee Hain
Naa Hindu Naa Musalman Rahtee Hain
Ankh Jab Bhee Rotee Hain
Apnee Palkon Kii Kyaree Main Yoon Hii
Too Ab Ye Gulab Rahane De
Mere Gam Main Kitna Hissa Hindu Hai
Kitna Musalman Ye Hisab Rahane De
Main Tera Ham Majhab Naheen
Mere Ansu Se Par Naraz Naa Ho
Meree Bundo Ka Teree Palkon Main Rahana
Kisee Naye Majhab Ka Hee Agaz Naa Ho
Teree Ankhon Main Akar Inka
Deeno Eeman Juda Ho Gaya Hai
Jisne Khud Main Samet Liya Inko
Woh Inka Khuda Ho Gaya Hain
Tere Ankhon Ki Jameen Main
Har Ansoo Gulab Bo Gaya Hain
Teree Ankhon Main Ruka Ye Dard
Ab Har Kisee Ka Rab Hain
Khusboo Se Koyee Inkar Kaya Kare Ki Ye Khusbu
Har Kisee Ka Majhab Hain
Main Tera Ham Mazahab Naheen To
Tera Koyee Naheen Too Bar Bar Kah Raha Hain
Par Ye Mera Jo Ansu Hain
Teree Hee Ankhon Se Bah Raha Hain