Main Soya Hoon Chaader Odhkey
Aaye Hain Aaj Mehmaan Saare
Kisi Ne Mujhko Nahi Jagaya
Gumsum Chup Baithey Hain Saare
Mann Kaa Ishara Paaya Maine
Utthkar Main Phir Khara Hua
Mejbaani Ne Mujhe Jagaaya
Farz Ko Yaad Karta Hua
Saanson Kii Taazgi Isi Pal
Mehsoos Karne Laga Tha
Jaise Beeti Hui Raat Ko
Rachna Koi Likhney Laga Tha
Jane Kyon Mann Hua Aaj Pooja Karney Ko
Darr Nahin Ttha Subah Koi Shaam Dhalney Ko
Khatm Hui Pooja To Nikla
Kuch Thoda Sa Khaaney Ko
Jaise Kagaz Dhoondta Tha
Lamhe Rotey Hansaaney Ko
Khagaya Yaadon Kii Roti
Khaye Kuchh Lamhe Uthaakar
Peegaya Sharbat Dukhon Kaa
Jee Gaya Aansoon Bahaakar
Ehsaas Mujhe Kuchh Hogaya
Zinda Tha Jab Tak Jee Gaya
Phool Mujhpar Saj Gaye Hain
Marna To Tha Aur Marr Gaya.
Ekk Haath Mein Kagaz Mera
Doojey Ne Thaami Maut Thi
Ekk Jeb Mein Kalam Ka Ghar Tha
Aur Ekk Roti Se Chupi Thi
Yeh Bhi Kadwa Sach Hai Yaaron
Marega Jab Koi Likhney Wala
Kalam Banegi Lakri Chita Kii
Aur Aag Mein Shyahi Dalegi
Naadaani Likhta Rehtha Tha
Mujhe Na Aaya Likhna-Likhana
Chahat Tthi Kuch Accha Likhdoon
Magar Na Aaya Koi Bahaana
Seedhe Saade Shabd They Mere
Mujhe Legaya Koi Afsaana
Nahin Ttha Koi Sikha De Thora
Mujhi Bhi Likhna Naya Taraana
Sikhunga Ab To Jeeney Par
Bhook Pet Ki Hai Sharmati
Jab Tak Paapi Pet Hai Zinda
Baat Baat Per Hansi Uraati.
Bhooka Rehkar Wahi Marega
Swaad Jise Roti Ka Pata Hai
Meri Umar Beeti Bin Roti
Chita Hee Mere Ghar Kaa Pata Hain.
Chita Mein Meri Wahi Aayega
Jisne Bechaa Hain Kagaz Mujhko
Pichla Udhaar Likhkar Kagaz Mein
Shrdhanjali Wahi Dega Mujhko.