Main Kya Likhu? Muhbat Kaainati Was’atoon Say Bhi
Kahi Agay Ki Lamehdood Wasa’t Hai
Kisi Chehray Ko Ankho Aur Khuwabo Ki Dua Par Naqsh Karna
Is Kay Baray Main Sochna Aur Apni Har Kuwahish Ko Bus Us Zaat Tak Mehdood Karlena
Mohbat Hai Thatharti Absharoo-N Gubadoo-N Main Gonjati Bechainio Kay Darmiya Rahna
Har Ek Mousam Ko Apny Andarooni Musamoon Ki Zud Main Layana Kabhi Mil Kay Kis Say
Bekhabar, Adhay Samandar Tak Safar Karna
Kabhi Tanha Kisi Sahil Pay Akay Dair Tak Lehroo Ko Ginna
Aur Khala Main Dekhtay Rahna Muhbat Hai
Kisi Khoiy Huway Ko Ghair Iradi Tor Par
Har Ajnabi Chehray Main Aksar Dhondtay Rahna
Hamesha Bekhyali Main Kitaboo’n, Chand Taroo-N, Badloo-N Par
Is Kay Baray Main Jhilmilati Baat Klikh Dena
Ya Phir Kuch Likh Kay Mita Dena Kabhi Rangoo Ki Lehroo Par
Usay Besoot Hontoo Say Sada Dena Sada Bazgasht Aur Gonj Main Dhal Kar
Khlaoo’n Say Tahi Daman Plat’tay Dekhna Aur Phir Sada Dena
Mohbat Hai Main Kya Likhu Kabhi Asa Bhi Hota Hai Bohat Hi Roth Kar Naraz Hokar
Napasandeeda Khyaloo-N, Nafratoo-N Ki Oot Say Ya Mukhtalif Heelo Bahanoo Say
Kisi Ko Jhanktay Rahna Kisi Ko Sochtay Rahna
Woh Manay Ya Na Manay Bus Usay Likhna Usay Kahna Mohabbat hai