Main Khud Ko Janun To Kya Janun
Koi Aur Mujhe Bataye Ki Main Kya Hun
Khud Mein Ulajh Kar Reh Jana Meri Aadat Toh Nahi
Magar Aaj Bhi Samajh Nahin Paayi Ki Main Kya Hun
Sochun Bhi Kabhi Toh Bas Ikk Pal Hi Janun
Gum Gaya Mujhse Koi Dhundhe Toh Main Janun
Khud Ko Jala Dun Ke Zindagi Roshan Ho
Kya Main Chiraag Hun, Koi Bataye Ki Main Kya Hun
Main Khud Ko Janun Toh Kya Janun
Nazm Mein Chhipe Lafzon Ko Zindagi Janun
Ruth Gayi Mujhse Koi Manaye Toh Main Janun
Khud Ko Saja Lun Ke Duniya Muskura De Saari
Kya Main Khushi Hun, Koi Bataye Ki Main Kya Hun
Main Khud Ko Janun Toh Kya Janun
Hanste Huey Chehron Ko Zanjeer Janun
Chhoot Gayi Mujhse Koi Pakde Toh Main Janun
Khud Ko Mitta Dun Ke Ashq Muskurayenge Zara
Kya Main Dard Hun, Koi Bataye Ki Main Kya Hun
Main Khud Ko Janun Toh Kya Janun
Bedard Zamane Mein -ŗwafa- Ko Rusva Janun
Main Khud Ko Janun Toh Kya Janun
Koi Aur Mujhe Bataye Ki Main Kya Hun
Main Khud Ko Janun Toh Kya Janun