Main Kali Ret Ka Sahil Sahi
Koi To Dubte Shab Ke Jazire Se
Ubhar Kar Roshni Ke Badal Khole
Sitaaro Ko Bhanwar Ka Saaz De
Koi To Aakhir Shab Ko Awaaz De
Ufaq Se Na-Waqif, Lekin Badi Gehri Udaasi Hai
Na Koi Nur Ki Mashaal, Na Koi Geet Maanjhi Ka
Na Koi Gungunaati Sar Phiri Kashti Ghatao Ki
Samunder Cheekhta Thaa Mere Seene Mein Kabhi Lekin
Main Ab To Ret Ka Chup-Chap Sa Aur Sunsaan Sa Sahil Hu
Woh Azdaha Leta Hua Hai Mere Seene Par
Ke Jisko Dusre Lafzo Mein Sannata Bhee Kehte Hain
Na Jane Kyun Samunder Mein Koi Tufan Nahi Uthta?
Magar Kuch Dur Sune Maqbaro Ke Be-Samar Unche Darakhto Se
Ude Hain Is Tarah Do Phad-Phadate Kaanpte Zakhmi Haseen Taaer
Ke Jin Ki Dil Shikan Cheekh Ko Sun Kar
Achanak Shab Ka Saaya Darr Gaya Hai
Zameen To Zindah Hai Ab Tak
Hawa Bhee Sar Barhina Hai (Ibarhina=be-Libaas,Kapde Bina Ka)
Magar Rota Hua Budha Samunder Mar Gaya Hai