Main Jaanti Hoon Is Duniya Mein
Dard Se Bhari Main Akeli To Nahin,
Gile-Shiqwe Karne Wali Is Duniyaan
Mein Main Akeli To Nahin.
Dekho Agar Zindagi Ko Meri Nazaron
Se To “Mukkammal” Se Bahot Door Hai,
Magar Yeh Gehra Dard Baant-Ne Ke Liye
Mere Sath Koi Saheli Bhi To Nahin.
Shukar-E-Guzaar Hoon Main Unki,
Jinho-Ne Mujhe Yeh Zindagi Di Hai,
Lekin Is Adhuri Zindagi Ka Mai Karoon To Kya,
Yeh Sach Koi Paheli Nahin.
Socha Na Tha Ki Ab Phir Kabhi
Shiqayat Nikalegi Is Masoom Dil Se,
Afsos Ki Kabhi Jo Hum Sochte Nahin
Wo Ho Jaata Hai, Yeh Baat Naveli Nahin.
Koshish Ki Hai Maine Is Sukhe
Gulshan Mein Aashiyaan Banane Ki,
Koshish Ki Hai Maine Is Sukhe
Gulshan Mein Phool Sajane Ki,
Magar Sach To Yeh Hai Ki Main “Rutu” Hoon,
Koi Phool Chameli Ka Nahin.
Dhuan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko Main
Jal Raha Tha Kisi Ne Bujha Diya Mujhko