Main Iss Umeed Mein Doob Raha Tha
Ke Koi To Hoga Jo Mujhe Bacha Lega
Saahil Pe Mere Yaar Par Nazar Gayi Thi Ek Baar,
Par Mujhe Kya Pata Tha
Ke‚  Dekh Kar Woh Apni Nazare Fira Lega
Diya Bhujte-Bhujte Bhuj Hi Jaata Hai Ek Din,
Zaroori Nahi Ke Usse Phir Koi Jala Lega
Jis Ki Zubaan Apni Majbooriyon Ke Daanto Tale Kat Gayi Ho
Woh Bebas Insaan Kisi Se Kya Badla Lega
Jo Baat Dil Naa Maane,Uss Baat Ko Inkaar Karna Seekhle “Khwaish”
Zaroori Nahi Ke Har Baat Par Yuh Sar Jhuka Lega
Har Mod Par Apne Kadam Phoonk Kar Rakhna “Khwaish”
Zaroori Nahi Ke Sab Jaha Chal Pade,Tu Bhi Wohi Raahon Ki Disha Lega
Yahan Par Khud Par Bhi Kabhi Aetbaar Nahi Hota “Khwaish”
Vaada Kisi Aur Se Tu Kya Lega
Gairo Aur Apno Mein Kyon Fark Karta Hai “Khwaish
Tera Apna Bhi Har Mod Par Tera Imtehaan Lega
Apne Ashko Ko Sambhaalna Seekhle “Khwaish
Kahin Ro-Ro Kar Inn Ashko Ko Bhi Gawa Lega
Girte Hue Shaks Ko Sambhaalna Asaan Nahi Hai “Khwaish”
Par Umeed Naa Haar,Koi To Hoga Jo Tujhe Utha Lega