Main Hasna Bhool Gaya Hoon,
Kyonki Main Hasna Bhoola Nahin
Bas Main Hans Nahin Paata Hoon.
Mujhe Hamesha Yaad Rehti Hai
Maa Ki Aas, Uske Sapney,
Woh Ghutno Ke Dard Mein
Sard Subahon Ko Utthkar
Uska Kaam Karna
Main Bhool Nahin Paata.
Chotey Ka Fataa Basta,
Jahan Se Uski Kitaabein
Muhn Ko Nikaal
Majaak Urrati Thi Mera,
Behan Ki Woh Sooni Maang
Jiskey Rastey Bannd Hain
Kisi Anddhi Gali Ki Tarah.
Aur Baba Ki Pension Per
Liya Gaya Woh Karz,
Jisney Utthaaya Tha Bhaar
Meri Kaagaz Ki Degree Ka.
Aaj Bhi Koi Daftar Mujhe
Seerhi Charhney Nahin Deta,
Dehleez Chooney Nahin Deta,
Paas Nahin Bulaata
Sautella Vyavhaar Karta Hai Mujhse.
Aaj Baba Pe Ek Chadi Tak Nahin Hai
Saath Chalne Ke Liye,
Teen Maah Beet Gaye Hain
Retire Huey Unko.
Tab Se Jaane Kis Tarah
Chalta Hoga Kharch Ghar Ka,
Kaun Laata Hoga Rotiyaan Ghar Per.
Mere Dost Ab Tum Hee Bataao
Main Kaise Hansu,
Kis Tarah Se Hansu ??
Kya Mera Hasna Sach Mein Jaroori Hai