Main Ekk Smander Ki Sahil Ki Rait Ka Zarra Ho
Har Pal Ek Nayi Laher Ke Sath Bhata Hoon
Kabhi Unse ‘(Lahroon Se)’ Kahta Hoon Kabhi Unki Sunta Ho
Kabhi Khamoosh Sa Rahta Hoon
Kabhi Unki Bandagi Karta Hoon Kabhi Unki Darandagi Sahta Ho
Kabhi Un Per Hasta Hoon Kabhi Unke Sath Roota Ho
Kbahi Un Per Jita Hoon Kabhi Unke Sath Marta Ho
Mai Ek Smander Ke Sahil Ki Rait Ka Zarra Ho
Har Pal Ek Nayi Laher Ke Sath Behta Ho
Le-Jati Hai Woh Mujhko Dur Kanhi Phir Chood Jati Hai Woh Mughko Yanhi
Lamba Safar Ye Kat-Ta Hi Nahi Koshish Karne Se Kuch Hota Nahin
Sochta Hoon Tanhai Mai Yahi Ki Mujhe Bhi Milega Kya Mukamal-Janha Kabhi
Ya Bhta Rahoonga Har Pal Ek Nayi Laher Ke Sath Sada Yoonhi