Main Ekk Be-Jaan Sa Patthar Huun
Magar Duniya Kaa Humraaz Bhii Huun
Bahut Se Raaz Chupey Hain Yahan
Afsos Main Unki Awaaz Nahin Huun
Pahaar Ne Dhakela Mujhe Uchayee Se
Bijli Ne Kare Hain Saikdon Waar Mujhpar
Baitha Rehta Tha Jahan Kabhi Sukoon Se
Jagah Wo Soyee Hain Hawa Ko Cheerkar
Neeli Chaadar Se Lipta Ye Aasmaan
Shaam Hotey Hii Muskuraata Hain
Wida Leta Hain Jahan Bhej Kar Andhera
Wahin Par Chaand Bhii Itraata Hain
Hawa Kisike Roke Se Kahan Rukti Hain
Chahe Tow Khud Ko Hila Sakti Hain
Mujh Be-Jaan Kaa Kya Bigaaregi Hawa
Yakinan!, Ekk Thokar To Maar Sakti Hain
Urti Hansi Hai Sabhi Dete Hain Nasihat Dekho
Main Ekk Pathar Huun Jis Per Jami Kayee Hain
Bhool Se Isse Tohfa Jeevan Kaa Matt Dena
Uski Deewar Mein Dafan Ekk Sacchayee Hain