Main Ek Khilona Hun Ek Mitti Ka Khilona
Banane Wala Mujhe Ek Mele Mein Chhode Aya Tha
Us Mele Mein Baki Khilono Ki Bheed Mein
Main Bhee Shamil Ho Gaya Tha
Phir Ek Din Yan Shayad Ek Raat
Bhor Ne Raat Ke Darwaze Pe Dastak Di
Aur Roshni Ne Saari Fiza Chamka Di
Aj Bhee Main Ek Khilona Hun
Bheed Mein Khada Ek Khilona
Par Bheed Ka Hissa Nahi Hun
Aj Main Us Saagar Ka Hissa Hun
Jo Ankhon Se Girte Tammanaon Ki Paani Se Bana Hai
Jis Saagar Ke Dono Kinare Ek Hi Or Hain
Jis Saagar Ke Tatt Pe
Zameen Aur Aasman Ek Ho Jate Hain
Jahan Suraj Bhee Garmi Se Bachne K Liye
Dubne Ki Tyaari Karta Hai
Jahan Main Jitni Andar Jata Hun
Gehrai Utni Badti Jaati Hai
Aj Main Uss Samandar Ka Hissa Hun
Ghul Gaya Hun Main Usme
Chamatkaari Samandar Hai Ye
Jo Bhi Khilona Isme Doobta Hai
Ghul Jata Hai,Issi Ka Hissa Ho Jata Hai
Reh Jati Hai To Eksi Mohar
Banane Waale Ki Mohar