Main Bazaar Hoon
Jo Bikta Hoon
Main Har Dard Har Khushi Ke
Samano Mein Dikhta Hoon
Dekhe Hain Maine Apne Paas
Anginat Chehre
Kuch Mayusi Mein Doobe
Kuch Phoolon Se Khile
Meri Kismat Ki Lakiron Ko Bhi
Dekho Yaron
Main Kabhi Mahfil To Kabhi
Arthi Ke Samano Mein Sajta Hoon
Main Bazaar Hoon
Jo Bikta Hoon
Main Bazaar Hoon
Mera Bhi Apna Ek Dard Hai
Main Bhi Sisakta Hoon
Jab Apno Se Tootta Hoon
Mera Astitva Mit Raha Hai
Ye Keh Bhi Nahi Sakta
Apne Dard Ko Dekhkar
Taqdeer Se Lad (Fight) Bhi Nahi Sakta
Apni Kismat Ko Hatheliyon Mein Chhipaye
Hamesha Khada Rahta Hoon
Har Din Har Lamha
Khamoshi Se Kharidaar Dekhta Hoon
Main Bazaar Hoon
Jo Bikta Hoon