Main Bayaan Kaise Karon Ise, Mere Dil Men Kaisa Suroor Hai.
Koi Kaifiyyat Hai Yaqeen Ki, Ye Suroor Fouq-E-Shuo’oor Hai.
Jise Lams Koi Na Kar Sake, Jise Dark Koi Na Kar Ssake,
Wo Adam Nahin Wo Vujood Hai, Jo His-E-Havaas Se Door Hai.
Jo Qareeb Ho Ke Ali Rahe, Jo Bae’eed Ho Ke Jali Rahe,
Jo Ho Zarre Zarre Men Jalvagar, Jo Nazar Na Aaye Wo Noor Hai.
Ye Jo Gardish-E-Lail O Nahaar Hai, Ye Hi Aamad O Raft-E-Bahaar Hai,
Ye Nizaam Kaar-E-Abas Nahin, Koi Raaz Is Men Zuroor Hai.
Ai Bashar Tu Hai Kitna Kam Nazar, Ke Haqeeqaton Se Hai Be Khabar,
Tu Wo Aik Mush Ghubaar Hai, Jise Apne Dam Pe Ghuroor Hai.
Jise Tu Na Dekh Saka Kabhi, Jise Tu Na Soch Saka Kabhi,
Wo Khta Kisi Ki Khata Nahin, Wo Teri Nazar Ka Qusoor Hai.
Main Chala Hon Chhorh Ke Ye Jahan, Mujhe Mil Gai Hai Rah-E-Jinan,
Mujhe Koi Khouf O Khatar Nahin, Mere Dil Men Ishq-E-Huzoor Hai.