Main Apni Soch Ki Har Soch Mein Yehi Sochu-‘n,
Na Janay Tujh Se Aqeedat Ka Kon Sa Bandhan,
Hai Chahto-‘n Ka Ta-‘aluq Ya Dosti Ki Girah,
Ya Koi Rishta-E-Subh-E-Azal Hai Rooho-‘n Ka,
Ke Raat Din Teri Socho-‘n Mein Mast Rehta Hu-‘n,
Main Teri Yaad Ke Unmit Naqoosh Mein Dooba,
You-‘n Tere Pyar Ki Mojo-‘n Mien Mast Rehta Hu-‘n,
Tere Khyal Ko Meraj-E-Ashiqi Samjhu-‘n,
Tere Jamal Ko Meraj-E-Shayri Samjhu-‘n,
Tere Wisal Ko Meraj-E-Zindagi Samjhu-‘n,
Magar Main Subh-O-Masa Soch Soch Kar Sochu-‘n,
K Tera Hijr Bhi Aey Ga Aik Din Akhir,
To Mere Zehn Ki Sub Kehkashae-‘n Toote-‘n Gi,
Na Tere Qurb K Lamhaat Laut Pae-‘n Ge,
Na Teri Yaad Ki Ye Kashtia-‘n Hi Doobe-‘n Gi,
Magar Main Husn-E-Azal Se Sada Dua Go Hu-‘n,
Mere Khuda Mere Dil Ki Ye Iltija Sun Le,
K Ab Ki Baar Jo Lamhat-E-Qurb-E-Yaar Ae-‘n,
Tamam Aalam-E-Mojood Bhi Gawahi De,
Hum Aik Doosaray Ko Dekhtay Rahe-‘n Shahi,
Na Dharkano-‘n Ki Sada Tak Hame-‘n Sunai De,
Mujhe Jo Qurb Ki Lazzat Se Ashna Kar De,
Wo Raat Lakho-‘n Baras Pe Muheet Ho Jaye,
Tu Aisi Subho K Sooraj Ko Andha Kar Dena,
Jo Mere Yaar Ko Mujh Se Chhura Ke Le Jaye.

By Yaseen Shahi