Main Apaahij Nahi Hoon Per Lag Raha Hoon
Ummra Ke Es Daur Mein Majboor Ho Gaya Hoon
Aap Jo Path Ko Paar Kera Rahe Hain Yah Meharbaani Hai
Jinda Hai Ensaniyat Abhi Yah Nishaani Hai
Es Bhag Daud Ki Jindagi Mein Kitane Hi Ojhal Huea
Rah Gaye Hain Vahi Yahan Jo Nahi Bojhal Huea
Ek Jamaana Tha Jab Jajbaat Ki Kadar Hoti Thi
Ab To Har Jagah Aukaat Ki Kadar Hoti Hai
Log Taulate Hain Ek Dusere Ko Dhan Ke Sapechh Mein
Milta Nahi Koi Jo Bacha Rahe Es Achhep Se