Maikado Ki Mehfil Mein‚  Ab Humara Bhi Naam Hoga Shamil
Apne Ruqsar Ka Wo Jaam Pilane Lagte Hai
Aetbar Kare Bhi Tho Un Par Kaise Zaalim
Wo Hume Aksar Nashe Mein Ch’hod Jaate Hai
Unhe Dekhna Bhi Ab Gunah Hoga Shayad
Wo Aksar Naqab Pehne Guzra Karte Hai
Mere Aansuo Ki Qadr Karta Nahi Hai Koi
Kyu Hum Begano Ke Liye Inhe Bahaya Karte Hai
Gar Pyar Karna Zulm Hai Tho Hamaine Kiya Hai Zulm
Mujhe Mere Zaalim Se Juda Kyu Karte Hai
Mere Afsane Me Hone Shumar Dekho
Kaha Kaha Se Pathar Chale Aate Hai
Wo Paband They Mere Pyar Me
Aur Main Bhatakta Tha Unki Yaad Me
Shayad A Jaadu Tha Ishq Ka Ya Thi Hasad Jawani Ki
Hum Apno Me Lazzat Dhoonda Karte Hai
Nafs Ki Is Behkave Aakar,Ae Ayad
Humapne Hi Raah Par Kaante Bich’ha Rahe Hai