Mahfil Mai Hame Yun Na Bulaya Karo
Bulakar Na Nazre Churaya Karo,
Vaqt Mile Do Baate Karlo Hamse,
Tumhare Hone Ka Hak Hampe Jataaya Karo,
Gujarati Hui Ye Shaam Kah Rahi Hai,
Do Nazme Hame Bhi Sunaaya Karo,
Ye Saanse Chalti Hai Khusbu Se Aapki,
Havaao Ka Rukh Yu Na Mudaaya Karo.
Dost Honge Yun To Kai Log Mahfil Mai Aapk,
Ek Pyaar Bhari Nazar Hamse Bhi Milaaya Karo,
Aap Aate Ho , Sab K Dil Mai Bas Jaate Ho,
Kabhi Hamari Dhadkano Ko Bhi Dhadkaaya Karo,
Dil Me Jagaa Na De Pao To Bhi Koi Gam Nahi
Hame Apne Pairo Mai Bhi Sajaaya Karo
Naachiz Hi Sahi Ham Begaane Hi Sahi,
Ek Pal K Liye Hame Apna Banaaya Karo.
Ek Mulaakat Kafi Hai Aap Ki Jine K Liye,
Faaslo Ko Hardam Mitaaya Karo.
Har Nazam Dil Se Karenge Arpan Tume,
Yu Dil Mai Jazbaato Ko Jagaaya Karo
Jusuzoo Bhatak Jaati Hai Nazro Ki,
Khwabo Mai Bhi Kabhi Mil Jaaya Karo.
Dil Ki Zami Viran Si Hai,
Kabhi Yahan Bhi Khil Jaaya Karo.
Vaqt Milta Nahi Haal-E-Dil Bataane Ka,
Is Tarah Hampe Na Itraya Karo.
Nind Aaye Hame Agar Tum Chaho,
Ankho Ko Apni Kabhi Sulaayaa Karo.
Aaine Bhi Padh Lete Hai Chahre Ki Zuba,
Khud Ko Na Maayush Yun Dikhayaa Karo.
Ye Sach Hai K Tum Haatho Ki Lakiro Mai Nahi,
Is Baat Par Yun Hame Na Rulaaya Karo.
Dost Hote Hai Haalat-E-Dil Samjhaane K Liye,
Hamse Yun Dard-E-Jigar Na Bulvaaya Karo.
Tum Na Aa Pao To Koi Baat Nahi,
Apni Parchhayi Hi Sahi Bhijvaaya Karo.
Ham Beshabri Se Karte Hai Intzaar Tumara ,
Yun Na Berahmi Se Hame Tarsaaya Karo,
Dhadkne Ruk Jaati Hai,Saanse Atak Jaati Hai,
Hamse Daaman Jhatak K Na Chhudaaya Karo.
Aap Aa Jao To Dard Ho Jaaye Dhuan Dhuan,
Dosti Ka Aalam Kuch Mehkaaya Karo.
Ask Bah Jaayenge Aankho K Sare,
Apni Nigaaho Mai Hame Chhupaaya Karo,
Na Khwaish Hai Tumse Milne Ki ,
Dil K Jazbaat Nazmo Se Sahi Bataya Karo.
Ek Mulaakat Ka Lamha Ham Ji Late Hai,
Vadaa Milne Ka Kabhi To Nibhaya Karo.
Justzu Thak Jaati Hai Tume Dhundhte Dhundhte,
Apne Hone Ka Ahsaas Ise Bhi Dilaya Karo.
Dur Rahkar Yun Na Rakho Faasla Itna,
Mil K Jinda Rahne Ka Hoslaa Badhaaya Karo.
Yun To Dosti Nibhaane Mai Sadiya Gujar Jaati Hai,
Dost Ban K Dosti Ko Na Thukraaya Karo.
Mar Bhi Jau Agar Mai To Bhi Jinda Rah Saku,
Meri Saanso Ko Apni Khushbu Se Yun Mahkaaya Karo.
Meri Har Nazam Tere Naam Ki Dua Ban Jaaye,
Is Kadar Meri Soch Mai Tum Samaaya Karo.
Chand Ko Talaash Hai Sunhare Badal Ki,
Dupatta Hi Apna Tum Lahraaya Karo,
Asq Tumari Aankho Ke Hai Moti,
Chun Chun K Yu Na Moti Tum Giraaya Karo.
Khushi Ka Aalam Le Jao Mubaarak Ho Tume,
Gam Ka Khajana Hi Sahi Hampe Lutaaya Karo.
Jawaab De Na Pao Is Nazm Ka To Koi Baat Nahi,
Padh K Tabssum Ko Shabnami Hotho Pe Laaya Karo
Ham Na Maangte Hai Tumse Kuchh Isse Jyaada,
Hame Chup Rah K Yu Na Tum Sataaya Karo,
Raatrani Mahak Jaati Hai Din Mai Bhi,
Keshuo Ko Raato Ki Tarah Na Bikhraaya Karo.
Ham Dost Hai Tumhare Koi Gair Nahi,
Hame Dil Se Nikaal Kar Na Yu Paraaya Karo.
Noor Kam Ho Jaaye Chaand Sitaaro Ka,
Is Kadar Khud Ko Is Jaha Mai Jhagmagaaya Karo.
Kabhi Meri Bhi Ek Shaam Dhale,
Apni Palko Ko Yu Jhukaaya Karo
Dil K Rishte Mai Ho Jaati Hai Daraare
Dil Ki Diwaaro Se Na Takraaya Karo