Mahaul Shayri Ka Kahan Khushgawaar Hai
Nafrat Ki Aandhiyaan Hain Dilon Mein Ghubaar Hai
Har Shaqs Ka Dimagh Hawa Par Sawaar Hai
Jisko Bhi Dekhiye Woh Ana Ka Shikaar Hai
Kal Tak Talaq Dene Ko Tayyar They Jo Log
Woh Aaj Keh Rahe Hain Ke Biwi Se Pyaar Hai
Saaqi Pila De Aake Mohabbat Ke Jaam Tu
Pyaase Hain Log Sabko Tera Intezaar Hai
Saj-Dhaj Ke Zindagi Yun Mere Saamne Na Aa
Tu Be Wafa Hai Tujhpe Kise Aitbaar Hai
Pehle Jahan Mithai Thi Laddoo They Ab Wahan
Mirchen Tali Hui Hain Namak Hai Achaar Hai
Puchha Ke Ahl-E-Bazm Ko Hai Kaun Sa Maraz
Kehna Lage Hakeem, Miyadi Bukhaar Hai
Fezan, Phir Hakeem Ne Nusqe Pe Likh Diya
Iska Ilaaj Pyaar Ka Meetha Anaar Hai