Mahal Yeh Khuwabon Ka
Chandni Udhey
Sadiyon Ke Is Ehsas Ko
Jila Deta Hai
Jis Ke Liye Her Zi Rooh
Baghawat Kar Jati Hai
Is Sange Mar Mar Ke
Qaidkhaney Main
Hazaaron Zinda Roohain Qaid Hain
Jo Kabhi Suraj Ki Nikharti Shuaun Main
Kabhi Chand Ki Thandi Kirnoon Main
Apne Tadapte Jazbon Ko
Thandak Pahunchati Hain
Her Kaso Nakas Her Koi
Jagti Aankhon Main
Zinda Khuwab Jagaye
Kafe Afsoos Maltey Huye‚ ‚ ‚  (Hath)
Apne Zindaan Ko Laut Jata Hai‚  (Qaidkhana)
Ke Kaash
Aik Qabr Main
Rahne Ko Jagah Mil Jati