Magroor Hai Sahi, Mujhay Acha Buhat Laga
Woh Ajnabi To Tha, Magar Apna Buhat Laga
Rootha Hoa Tha, Hans To Para Mujh Ko Daikh Ker
Mujh Ko To Iss Qadar Bhi Dillasa Buhat Laga
Sehra Main Jee Raha Tha, Jo Daraya Dilli Kay Saath
Daikha Jo Ghor Say To Woh Pyasa Buhat Laga
Woh Jiss Key Dam-Qadam Say Thi Basti Ki Roan-Qay
Basti Ujar Gaye, To Akaila Buhat Laga
Lipta Hoa Kuhr Main Jaissay Khizan Ka Chand
Mailay Libas Main Bhi Woh Payara Buhat Laga
Raisham Pehn Key Bhi Mairee Qeemat Na Barh Saki
Khadhar Bhi Us Key Jism Pey Mehnga Buhat Laga
Mohsin Jab Aeynay Pay Mairee Sans Jam Gayee
Mujh Ko Khudh Apna Aks Bhi Dhundala Buhat Laga