Madad Ka Haath Jis Din Maang Ke Dekha Rafeeqon Se
Nazar Aane Lage Uss Din Se Hum Unn Ko Hareefon Se
Ki Dauraan Gardishon Ke Ab Nahi Aate Hume Aasuun
Badi Shiddat Se Humne Ye Hunar Seekhaa Ghareebon Se
Ghari Bhar Ko Sukuun Mil Jaaye Hum Ko Bas Issi Khaatir
Milaa Karte Hain Hum Apnaa Jhuka Kar Sar Faqeeron Se
Duaa Mein Maang Lete Hain Ye Apne Haath Failaa Kar
Nahii Miltaa Hai Jo Aksar Hume Apne Naseebon Se
Ghalat Baaton Pe Humse Chup Rahaa Jataa Nahi Warnaa
Nahii Karte Yun Hum Har Baat Kii Tanqeed Yaaron Se
Mujhe Bhi Bakhsh Deeje E Khuda Vo Seerat E Jaazib
Mukhaatib Jis Se Ho Jaaun Na Milnaa Chaahe Auron Se
Ibaadat Aur Neeyat Mein Kamii Jinkii Ho Aise Log +
Chale Aate Hain Khaalii Haath Kaaba Aur Dairon Se
“Kshitiz” Lahja Hi Kuch Aisa Hai Apna Jo Kisi Ko Bhi
Karaa Detaa Hai Shaamil Zaat Mein Apnon Ki Ghairon Se