Maajrah Kyaa Hai: Kabhi Bhi Naheen Bataatey Ho?
-Ë—Zald Jaanaa Hai-‘ Baarahaa Yahee Sunaatey Ho
Mujhey Bataaou To Aakhir Yeh Chaleygaa Kab Tak?
Mein Bulaataa Hoon, To Aatey Ho, Chaley Jaatey Ho
Kab Khatam Hogi Roz-Roz Ki Aawaa-Jaahii?
Hijra Key Dour Beyshumaar Liye Aatey Ho
Maantaa Hoon Ki Gulandaam Ho, Gulaab Naheen
Gulfishaanee Key Liye Bhi Naheen Bulaatey Ho?
Aamdey Mein Naseem; Loutney Mein Baad-E-Dawaan
Baag-E-Atshaan Hoon: Ao, Bey-Aab Abra Laatey Ho?
-Ë—rooh Sey Apnee, Ab, -Ë—abd-‘ Judaa Rahey Kaisey?
Waqaar-E-Ishq Baar-Baar Aazmaatey Ho?