Maa Tujhey Sochta Hoon Ab Main Jidhar Jaata Hoon
Yaad Aati Hain Teri Gam Se Bikhar Jaata Hoon
Main Ne Socha Bhii Naa Tha Tu Youn Chali Jaai Gi
Laut Ker Phir Meri Duniya Main Nahi Aaye Gi
Maa Mujhey Aake Sahara De Pareshaan Hoon Main
Ilm Hain Tujhko Main Tanhaai Se Dar Jaata Hoon
Mere Khawboon Main Kabhi Aa Ke Dikha De Mujhko
Kiya Khata Thi Meri Aa Ker Ye Bata De Mujhko
Meri Bardashat Se Bahar Hai Judaai Teri
Ab To Thokar Bhi Nahii Khata Hoon Gir Jaata Hoon
Youn To Sab Ko He Chale Jaana Hai Duniya Se Mager
Khatam Jaldi Hua Kiyoun Sochta Hoon Tera Safar
Umer Teri To Naa Thi Dehar Se Jaane Ke Liye
Main Khuda Se Ye Gila Rooz Hein Kar Jaata Hoon
Dukh To Ye Hai Ke Main Maiyaat Pe Teri Ro Saka
Chaar Umeed Ke Gul Kabar Pe Bhii Laa Naa Saka
Gam Ye Dil Main Hai Jo Ab Saath Mere Jaayega
Youn Hein Pachtawe Ke Dariya Main Utar Jaata Hoon
Dostoon Maa Kii Qadar Karna Ke Pachtaaogey
Baad Main Meri Tarha Jeete Jee Mar Jaaogey
Bud Kalaami Se Kbhi Baat Naa Karna Un Se
Ye Nasihat Main Tumahin Aakhri Kar Jaata Hoon