Maa Teri Saari Ka Kinara
Ismein Samaa Gay Hai Maa
Vistarrit Akash Ye Saara
Kitne Riste Gunthey Huye Hai
Iske Kache Dhagoin Mein
Iske Hare K Dhage Se
Milta Hai Majboot Sahara
Maa Teri Saari Ka Kinara
Ek Chhor Se Dusre Chhor Tak
Pyar Hi Pyar Samaya
Iske Dhagoin Se Milkar
Maa Ka Anchal Kahalaya
Maa Ka Anchal Jis Se
Bahti Hai Mamta Ki Dhara
Ismein Jaise Samaa Gya
Maa Koi Sagar Saara
Maa Teri Saari Ka Kinara
Ye Dharaye Hasti Hai Maa
Tere Anchal Ke Sagar Mein
Jaise Kisi Ne Amrit Ras
Bhar Diya Maa Ke Anchal Mein
Suraj Ki Kirne Bikhari
Bikhari Hai Chand Ki Sheetalata
Bijali Ki Hai Kaundh Bhi Ismein
Hai Ismein Jal Ki Nirmalata
Maa Teri Saari Ka Kinara
Indradhanush Ke Rang Bhare Hai
Rang Bhare Jo Jeevan Mein
Ek Pyar Ki Lahar Uthey Hai
Sabke Liye Iske Tan Mein
Shahad Ki Meethas Bhari Hui
Maa Tere Laad Dular Mein
Khushiyo Ka Ambaar Chhipa
Maa Ke Ashirwaad Mein
Maa Teri Saari Ka Kinara
Maa Ki Saari Ka Kinara
Rakhata Hai Kitne Mayane
Ek Lakshman Rekha Tay Hai
Naari Ki Is Kinare Ki Aad Mein
Iski Maryada Langh Nahi Sakta
Koi Bhi Is Sansar Mein
Is Kinare Mein Rahta Hai
Surakshit Pariwaar Hamara
Maa Teri Saari Ka Kinara