Maa Chali Gayi Naa Jaane Kahan
Apni Aatma Ko Sametkar
Nasvar Jeevan Ko Udhedkar.
Yeh 12 October Kha Gaya
Maa Ke Mere Marm Sparsh Ko.
Achanak! Ekk Kala Sa Saaya
Prakat Hua Tha Mere Aage
Pinjra Liye Tha Jisme Qaid Aatmaain
Khush Dikh Rahin Thi Lejaaya Jaa Raha Ttha
Unhe Naya Aakaash Dene Ke Liye
Thoda Sa Dukh Bhii Unki Aankhon Ko Dho Raha Ttha
Jinhe Gum Tha Wazood Ke Mitt Jaane Kaa
Yakinan!! Apno Se Door Jaane Kaa.
Dil To Bahut Roya Mera
Hosh Bhii Ud Gaye They Kalpnaaon Ke
Uss Aakaash Mein Jahan Kaa Sooraj Bhii
Kabhi-Kabhi Hii Aata Hain
Deta Hain Dow Pal Kii Roshni
Aur Cheen Le-Jaata Hain
Hazaar Raaton Kii Neendein.
Magar Main Yahan Akela Tow Nahin
Jiska Saaya Kho Gaya Jiska Apna So Gaya
Mujhe Ehsaas Hone Laga Mainey To Yahan
Maa Ko Khoya Hain. Magar Ekk Maa Ne
Vinaaskari Bhookam Mein Khoya Hai Poora Parivaar
Jo Kisi Daanav Ki Tarah Nighal Gaya Tha
Uss Oonchey Pahaar Ko Jisme Palti Thi
Muskurahat ! Bajta Ttha Meeta
Sangeet ! Kudrat Ne Mujhe
Ehsaas Kara Diya Apni Taaqat Kaa
Jiske Aage Zindaagii Dete Doctor
Imaaraton Ko Janm Dete Engineer
Aakaash Ko Chhod Ey Pehchaantey Scientist
Dharti Mein Sona Upjaate Kisaan
Aur Mujh Jaise Aam Insaan Apahij Kii Tarah
Surakhshit Zindagii Kii Bheek Maangtey Hain.
Afsos, Main Sabkuchh Dekhkar Asahaaye Sa
Rota Khada Hoon Jaise Koi Thag Aaya Ho
Aur Nikaal Legaya Ho Meri Jeb Ka Saamaan Saara
Jisme Ek Sapna Ttha Bahut Oonchaa Sa
Ekk Tooti-Footi Si Bejubaan Kalam Thi,
Choti Si Khushi Thi Jise Sambhaalkar
Rakha Ttha Apne Aasmaan Ke Liye
Ekk Rumaal Tha Kaala Jo Aakhri Waqt Per
Khud Kaa Kafan Ban-Ta. Ekk Zanzeer
Jo Jodey Hui Tthi Mere Har Rishtey Ko.
Sookhey Chaney Tak Zaalim Ne Nahin Chod Ey
Jine Khaakar Kuch Door To Chal Hii Sakta Tha.
Bachi Reh Gayi Thi Ekk Choti Si Sheeshi
Jisme Nichord Tha Har Ekk Waqt Kaa.
Mukti Paane Kaa Saaman Tha Woh,
Jo Kal Tak Amrit Tha Woh Kuch Hii Pallon Mein
Zehar Bankar Mujhpar Hans Raha Tha.
Mera Gum Chota Sa Hain Unn Chotey-Chotey
Deepakon Ke Aage Jo Bina Kisi Chhat Kii
Oat Liye Bujh Jaane Ko Tayyaar Khadey Hain
Mitt Gaya Hai Sar Se Mamta Ka Marm Saaya.
Unke Pairon Pe Addh-Chubhey Kaantey
Kaise Niklenge Jo Chattan Kaa Roop Liye Is Veeraan
Jar-Jar Jeevan Mein Chupkar Baithey Hain.
Sach Mein Mera Dukh Maatr Ekk Choti Si Sui Kii
Chubhan Jaisa Hai Jabki Duniya Ne
Badan Per Har Taraf Bhaalon Ke Zakhm Liye Hain
Aur Jhel Rahi Hain Garm Salaakhon Kii Tapis Ko