Loot’ta Hai Aadmi Ko Aadmi, Ghar Aadmi Ka Jalata Hai Aadmi.
Jaa’n Leta Hai Aadmi Ki Aadmi Khoon Aadmi Ka Bahaata Hai Aadmi.
“Kitna Bebas Hai Fir Bhi ” Hanth Khali Zata Hai Aadmi.
Itna Khudgarz Hai, Ki Kagaz Ke Tukdo’n Pe Bik Zata Hai Aadmi.
Neelam Karta Hai Khud Hi Apna Zameer, Khud Hi Apni Boli Lagata Hai Aadmi.
“Kitna Bebas Hai Fir Bhi” Hanth Khali Zata Hai Aadmi.
Karta Hai Fareb Apno’n Se, Lahu Apno’n Ka Bahaata Hai Aadmi.
Shohrat Ki Hod Mein, Naam Kitne Mitata Hai Aadmi.
“Kitna Bebas Hai Fir Bhi” Hanth Khali Zata Hai Aadmi.
Dard Kitne Sahata Hai, Kitne Gam Uthaata Hai Aadmi.
Bujhaker Raat Rahate Hi Chirag, Raushni Kal Ke Liye Bgchaata Hai Aadmi.
“Kitna Bebas Hai Fir Bhi Hanth Khali” Zata Hai Aadmi.
Chand Din Ki Zindgi Mein, Aaram Ka Her Saman Jutata Aadmi.
Maka’n Samander Ke Sahil Pe, Sangmarmar Se Banata Hai Aadmi.
“Kitna Bebas Hai Fir Bhi” Hanth Khali Zata Hai Aadmi.

By Sahil Verma