Loh-E-Jahan Pe Naqsh Hue The Hazar Lafz
Likhne Ka Lafz Lafz Ke Per Dhang Aur Tha
Auraq Zindagi Ke Mere Saamna The Aaj
The Naqsh Mukhtalif Tu Kahin Rang Aur Tha
Kitni Hi Daastanain Qalamkar Ne Likheen
Likhne Ke Saath Saath Wo Us Ne Mita Bhi Dein
Kitne Hai Zor War Yahan Aa Ker Guzar Gaye
Is Mehrabaan Ki Ranjishain Koi Na Seh Saka
Sare Hakim Shair-O-Sofi Guzar Gaye
Lekin Ye Raaz Kya He Ye Koi Na Keh Saka
Lekin Ajeeb Baat He Ke Mere Waste
Tera Haseen Rukh He Baqa-E-Dawaam He
Ye Saadgi Ada Ki Teri Aur Ye Baankpan
Tiyaaq Aagahi Ka Hain Nisyaan Ke Jaam Hain
Main Jab Bhi Dekhta Hoon Tere Lab Ke Dilkashi
Lagta He Yoon Ke Hain Kisi Maikash Ke Ye Dua
In Mast Mast Aankhoon Ki Masti He Kiya Ghazab
Lagta He Yoon Ke Apni He Masti Pe Hain Khafa
Yazdaan Tera Qalam Ye Nafas Sad Hazar Rang
Mumkin Ye He Ke Khama Tera May Se Ho Bhara
Mumkin Ye He Ke Hafiz-E-Mushrab Ka Ho Khayal
Mumkin Ye He Ke Ho Kisi Piyale Ki Ye Sada
Jo Kuch Bhi Ho Mager Ye Mera Naqsh-E-Be-Sabat
Markaz Bana He Jab Bhi Tere Iltafat Ka
Masti Main Tere Roop Ki Yoon Kho Gaya Ke Phir
Khadsha Nahin Raha Ise Apne Sabat Ka