Log Kehte Huwe Teri Nazron Se Sambhalte Honge
Ke Inn Aankhon Se To Pathar Bhi Pighalte Honge
Kiyun Ayaa Hoti Hai Shaher Me Aksar Khaamoshi
Ke Tere Kadam Shayad, Ghar Se Nikalte Honge
Main Jaanta Hu Teri Thakan Taweel Musafaton Ki
Kiyun Na Ho, Saath Tere Raste Bhi Chalte Honge
Tujh Pe Barasne Ko Yeh Baadlon Ki Dast-E-Girebani
Kab Aaye Gi Baari, Mausam Bhi Machalte Honge
Jo Teri Saadgi Ke Charche Kabhi Ho Jaye Aasman Per
Tujhe Likhne Ko Kaandhon Pe Farishte Bhi Badalte Honge
Yeh Ek Ghazal Hai ‘Adil’ Ya Keh Aks Unka
Parh Kar Teri Ghazal, Shayar Bhi Jalte Honge