Likhu Main Gar Dard Tera,
To Shayad Yeh Andhera Bhi Kam Pade,
Koi Tera Dard Samjhe Ya Na Samjhe,
Main Tere Dard Ka Dard Likhta
Tere Har Alfaz Mein Jo Dard Tha,
Humne Use Mehsoos Kiya,
Gar Samajh Na Paya Koi To,
Main Un Alfaazon Ka Dard Likhta
Tu Khawbon Mein Kho Ya Khayalon Main,
Galiyon Mein Ya Apne Ehsaason Mein,
Jab Aayina Dekh Tu Khud Mein Kho Jata Hai,
Main Us Khoye Insaan Ka Dard Likhta
Theek Hi Hai Ke Zakhmon Ki Nishaani Nahi Rahi,
Zakhm Purani Yaadein Taza Kar Jaate Hain,
Hausla Nahi Mujhme Itna Ab Ke,
Kalam Utha Kar Un Zakhmon Ka Dard Likhta…
Is Kalam Ki Kya Majaal Jo Humse Bagawat Kare,
Humne Khud Shahi Ka Istemaal Na Kiya,
Thak Gaya Hai Khoon Ragon Mein Daudta Hua,
Main Usi Khoon Se Is Dil Ka Dard Likhta…
Apni Aakhri Saanse To Ham Kab Ke Le Chuke,
Jeene Ke Waade Kiye Aur Bichad Kar Kab Ke Mar Chuke,
Aj Agar Mil Jaye Woh Rooh Mujhe “Abrar”,
To Main Apni Nayee Zindagi Ke Baare Mein Likhta.