Likha Wo Jo Rizq Aaye, Uthi Jo Uski Qalam Chale,
Na Laayi Zaroorat Aaye, Na Pardi Musibat Chale,
Kuch Din Ka Hai Ye Khel Aye Ibne Adam Yahaan,
Apni Marzi Nahi Yahaan Uski Marzi Chale,
Dil Ke Lagane Se Bhi Na Jab Koi Dil Lage,
Vaisa Kanhaan Daur Raha Ab Ke Koi Dillagi Chale,
Deedar-E Hur Bhi Yanhaan Hoga To Kahenge Ham,
Yahaan Nahi Hai Wo Dil Chalo, Dil Ki Gali Chale,
Partav-E Khur Ka Raaz Chupaye Hai Har Kali,
Koi Baad-E Saba Chale To Phir Kahaan Chale,
Danishvari Na Gulshan Mein Chale, Janhan Aise Husn Khiley,
Dil Bhi Lagaye Chale Hum To Kitne Gul Ko Tar Chale,
Tu Nazaan Na Ho Apni Qismat Par Aye Raqeeb,
Ye Daur Jo Chale Hai Abhi Har Waqt Na Wo Chale,
Maghrib Mein Kahaan Wo Mashriqi Baatein Chale,
Janhan Dil Hi Nahi, Kahaan Phir Dil Ki Baatein Chale,
Karle Jama Amaal Jab Tak Hai Yeh Sanse Teri Chale,
Jaana Hai Tujhe Bhi Asad Jahan Wo Chale.
By Abul Asad