Lehron Se Ghabra Kar Wo Bahar Aa Gaya Lekin
Tab Se Kinare Pe Her Or Ek Tufan Dhundta Hai
Mil To Jaye Insan Ko Khuda Bhee Par Majburi Hai Iski
Jahan Isse Zamin Milti Hai Wahin Aasman Dhundta Hai
Ik Mahman Nawazi Ki Taarif Thi Jo Suni Thi Usne
Aaj Talak Mehmaan Ke Ghar Mezbaan Dhundta Hai
Anubhav Hai Aisa Shatranj Ki Chalon Ka Uska
Farzon Ki Basti Mein Roz Naya Ehsaan Dhundta Hai
Jismon Ka Pata De Do Ruhon Ka Kya Karoge
Wo Bavara Ishq Mein Apni Pehchan Dhundta Hai
Dil-E-Nadan Kaun Samjhaye Tujhe Guzre Waqt Ke Khel
Kyun Aasman Mein Parindon Ke Nishan Dhundta Hai