Le Ker Aaj Hum Kaagaz Aur Kalam‚  Apne Dil Kii Baat
Likhne Jaa Rahe Hain Ekk Aur Baar Aaj Huwa Aisa Aalam Kii Apne Dil Kii Baat
Likhne Jaa Rahe Hain‚  Basi Thii Agar Aapke Dil Mein Aur Khawaishein, To Zikar
Karte Is Baat Kaa Hum Bhii Samajh Nahii Paaye Aapke Dil Kii Baat,
Jab Rishta Tha Hamara Paanch Saal Kaa.
Aakhir Mein Kiya Humne Gam Se Salaam, Aur Aaj Apne
Dil Kii Baat Likhne Jaa Rahe Hain!
Aapko Gunhegaar To Nahii Keh Sakti, Is Liye Goonjaish
Bhii Nahii Tumhari Khata Kaa,Magar Dosh Hamara Bhii Nahii, Hum Thehre Insaan, Phir
Kya Matlab Huwa Is Judaai Kii Saza Kaa?
Haye Yeh Kaisa Huwa Hamara Anjaam, Jo Aaj Apne Dil Kii
Baat Likhne Jaa Rahe Hain!
Bhari Mehfil Mein Humse Yoon Naaraz Naa Hotey, Thoda Sa
Lihaas Rakh Lete Hamare Pyaar Kaa,
Aur Kuchh Nahi To Iintezaar Kar Liya Hota Chand(Some)
Lamho Kaa, Itne Beqaraar Naa Hotey.
Magar Pyaar Mein Hum Huwe Itney Badnaam, Kii Aaj Apne
Dil Kii Baat Likhne Jaa Rahe Hai!
Ya Khuda! Ab Tu Hii Bata Hum Kare Bhii To Kya,
Dil Hii Nahi Karta Tere Diye Huwe Toufe(Gift) Ko Apna-Ne
Kaa Ghoom Gaye Hain Hum Poori Tarah Se Is Manzil Mein,
Duur-Duur Tak Koi Nishaan Nahi, Is Andhere Mein Kisi
Diye Kaa.Thak Karr Aaj Tere Aashiyaaney Pe Hum Todd-Te Hain Apna
Dum, Bass Ab Is -ŗrutu- Ko Hum Chor Ke Jaa Rahe Hain