Le Chal Ke Aa Gaya Hoon, Aakhir Mein Tujhse Duur
Haan Huye Hai Beshak, Mujhse Bade Kusuur
Phir Bhi To Mein Hoon Tera, Aye Meri Jaan-E-Jaan
Jag Mein Kaha Se Laaun, Tujhsa Koi Kahan
Tu Hi To Bas Mera, Bas Mera Hindustaan
Teri Waadi Per Baraste, Hai Jo Hasaroon Phool
Hum Bhi Hai Tere Bachhe, Teri Hi Pag Ki Dhool
Yun To Hai America Canada Ke Uche Bol
Par Bhi Tere Aage Unka Kaha Hai Mol
Duniyaa Mein Laakh Hoge, Rangeen Nagri Waale
Miltaa Nahi Kahi Kyon, Tujhsa Kahin ‘Himaalaya’
Nadiian Bahut Hai Dekhi, Itna Hai Naam Kiskaa
Teri God Mein Jo Behti, ‘Ganga’ Hai Naam Jiskaa
Ek Boond Bhi Na Jiski, Jaati Na Kabhi Khaali
Jaane Kaha Kaha Se, Aate Hai Dar Sawaali
Kitni Yaha Pe Hoti, Hai Bhanti Jaat Paat
Phir Kahi Nahi Hai, Koi Tujhsi Kayanaat
Chahe Rahun Kahi Bhi, Dil Mein Hai Tu Basa
Tere Naam Ka Sahaare, Aapna Hai Aasraa
Har Saans Aab Bhi Meri, Teri Hai Meharbaan
Jaan Bhi Tujhe De Paaun, To Kam Ho Hindustaan
Jag Mein Kaha Se Laaun, Tujhsa Koi Kahan
Tu Hi To Bas Mera, Bas Mera Hindustaan