Laraz Rahaa Hai Dil-E-Sogawaar Aankh`on Men
Khatak Rahee Hai Shab-E-Intiz^aar Aankh`on Men!
Zaraa Nah Farq Khudee Aur Bekhudee Men Rahaa
Nah Jaane Kyaa Hai Tiree Mai-Gusaar Aankh`on Men!
Yeh Dard-E-Dil Naheen, Hai Baaz-Gasht-E-Mehroomee
Yeh Ashk-E-Gham Naheen, Hai Yaad-E-Yaar Aankh`on Men!
Sha,O’or-E-Zeest Se Khaalee Naheen Khizaan Hargiz
Magar Hai Shart^ Rachee Ho Bahaar Aanikh`on Men!
Zaraa Zaraa Se Mire Raaz Kh`ol Detaa Hai
Chhupaa Hai Kaun Miraa Raazdaar Aankh`on Men?
Maqaam-E-Shauq Kee Sar-Mastiyaan, Are Taubah!
Suroor-E-A’ashiqee Dil Men, Khumaar Aankh`on Men!
Qadam Qadam Peh Tiree Yaad Gul Kh`ilaatee Hai
Yeh Kis Ne Bh`ar Diyaa Rang-E-Bahaar Aankh`on Men?
Naburd-Aazmaa Duniyaa Se Kyaa Huwaa “Sarwar”
Kuch` Aur Barh Gayaa Apnaa Waqaar Aankh`on Men