Lamhon Ka Guldasta Sajaa Raha Hoon
Humari Kahani Bata Raha Hoon
Kuch Lamhon Ke Liye Mile Thei Ajnabee
Jaane Phir Milen Na Milen Hum Kabhee
Chaandi Ki Chudiyan Aur Chehre Ki Saadgi
Yaad Hai Woh Pehli Mulaakat Mujhe Aaj Bhi
Lamhon Ka Guldasta Sajaa Raha Hoon
Humari Kahani Bataa Raha Hoon
Pardes Mein Humara Chota Sa Kissa
Ban Jaega Mere Dil Ka Hissa
Chun Lamhon Mein Hi Kar Dogi Jaadoo
Yeh Na Socha Tha Youn Dil Hoga Bekaaboo
Lamhon Ka Guldasta Sajaa Raha Hoon
Humari Kahani Bataa Raha Hoon
Barson Ki Doori Aur Meilon Ka Safar
Har Lamha Kat-Taa Thaa Reh Reh Kar
Woh Chaandi Ki Chudiyan Yaad Aati Thi
Aksar Sapno Mein Khan-Khanaati Thi
Lamhon Ka Guldasta Sajaa Raha Hoon
Humari Kahani Bataa Raha Hoon
Woh Gulabi Joda Tha Meri Dulhan Ka Libaaz
Youn Hua Ik Naye Jeevan Ka Aaghaaz
Waqt Ruk Gaya Thaa Jaise Kuch Lamhon Ke Liye
Apna Ghar Chord Tum Mere Saath Chal Diye
Lamhon Ka Guldasta Sajaa Raha Hoon
Humari Kahani Bataa Raha Hoon
Pardes Mein Humnein Apna Gharonda Sajaya Hai
Tumhare Pyar Nein Is Ghar Ko Ghar Banaya Hai
In Lamhon Ke Guldaste Se Muhobbat Chalakti Hai
Woh Chaandi Ki Choodiyan Ab Roz Kahankti Hain
Lamhon Ka Guldasta Sajaa Raha Thaa
Humari Kahani Bataa Raha Thaa