Lamhe Phir Bikhar Gaye Hai Yaadon Kii Baarish Se
Kii Basant K Baad Phir Patjhad Ka Mausam Aaya Hai
Tooti Hai Dil Kii Deewarein Aaj Phir Se
Khamoshi Ne Ye Kaisa Nagma Gungunaaya Hai
Behti Hai Nadiya Bhi Ab Saahil Main Simat Kar
Kii Jaise Oose Bicchhadne Ka Khayal Aaya Ho
Kaliyon Main Khushboo Chhip K Beithi Ho
Jaise Mali Oose Todne K Liye Aaya Ho
Saaz Saare Kho Chuke Hai Apni Awaaz
Dhoondta Hoon Woh Tarana Jo Tumne Sunaya Ho
Bikhri Zulfein Aur Sooji Huyi Aakhen Bayaan Karti Hai
Kii Tere Aansuon Se Mera Dard Nazar Aaya Ho
Dil Todna Teri Khwahish Hai Toh Pehle Hi Bata Deti
Woh Nasamajh Hain Jo Tukdo Ko Ootha Laaya Ho
Sheeshe Main Chhupi Huyi Thi Tasveer Teri
Meri Takdeer Main Saaya Bhi Na Tera Aaya Ho