Lamha-E-Hijr Ke Baad Aisi Aadat Huwi Wiranon Ki
Andheroon Se Bahar Aa Na Sakay
Sar-E-Shaam Hum Phir Deep Jala Na Sakay
Is Qadar Milli Tanhaeyaan Ke Apna Saaya Bhi Ghair Lagne Laga
Dil Ki Basti Aisi Ujjri Ke Hum Issay Phir Basa Na Sakay
Ussay Dekhe Ek Muddat Huwi, Us Se Bichray Ek Zamaana Huwa
Dhoonda Bahut Magar Is Ajnabi Shehar Mein Ussay Paa Na Sakay
Us Ke Siwa Goya Zindagi Mein Kuch Aur Thaa Hi Nahee
Bichra Woh Tu Phir Kuch Khoo Na Sakay Kuch Paa Na Sakay
Haal-E-Dil Hum Bata To Dete Raaz-E-Dil Hum Suna Tu Dete Magar
Tumhare Baad Kisi Ko Hum Samjha Na Sakay Aashna-E-Dil Bana Na Sakay
Hum Ne Dukhi Dil Ko Bahut Sambhaala Aur Dil Ne Hum Ko Bahut
Tanha Chand Dekha Tau Dil Humein Samjha Na Saka Na Dil Ko Hum Samjha Sakay
Tumhari Yaad Ko Apni Har Wabastagi Se Mita Diya Tha Hamesha Ke Leye
Bas Jab Jab Saans Chali Hai Tab Tab Hum Tumhein Bhula Na Sakay
Aaj Itefaqqan Tum Ko Tumhari Majboreyoon Ke Saath Dekha
Phir Puraani Yaadain Taaza Huween Phir Ashk Apne Hum Chupa Na Sakay