Lab Par Ho Hansi Ya,
Aankhon Mein Nami Ho,
Humne Unko Sath Paya,
Han Isi Liye To Hum Ne,
Ek Duje Ko Apnaya.
Log Dekar Tod Jate Hai Jise,
Aksar Us Vade Ko Hum Dono Ne Nibhaya,
Taqdeer Ne Hi Shayad Hum Se,
Ye Namumkin Sa Kam Karvaya.
Sachcha Pyar Kabhi Raton Aur,
Baton Ka Mohtaz Nahi Hota,
Ye Unho Ne Hi To Samaj Aya,
Juda Na Honge,
Jab Tak Jism Ko Ruh Nasib Hai,
Aisa Humdono Ne Doharaya.
Khubsurti Ko Uski Rab Ne Kuchh,
Is Tarah Hai Tarasha Ki Kya Kahne,
Labzon Me Koi Bayan Kar Na Paya,
Koi Nek Dua Ka Hi Asar Hoga Jo Us,
Khuda Ne Chand Khubiyan Apni Dekar,
Mere Liye Use Is Dharti Par Bhijavaya.
Shukriya Tahe Dil Se Me Kiska Ada Karu,
Us Parvardigar Ka Ya Mere Pyar Ka,
Ye Tay Na Kar Paya,
Bas Yun Samaj Lijiye Ke,
Ek Ne Diya Hai Muje Jivan,
To Dusare Ne Jina Sikhaya.

By Sanket Kalyani