Laaz Rakh Lein Un Balidaano Ka
Sanghrsh Bhara Jeevan Tha
Kitno Ne Sukh Ko Tyaaga Tha
Kitno Ne Bete Khoya The
Kitno Ne Khoon Bahaaya Tha
Har Pal Aag Pe Chalte The
Dusro.N Ke Khaatir Jeete The
Dukh Sehna Manzoor Tha Unko
Dusro.N Ke Khaatir Rote The
Koodee Wo Khaaya Karte The
Humain Wo Khushiya.N Dete The
Maa Behan Ki Izzat Ke Khaatir
Khoon Ki Aaso.N Rote The
Aise Veer Sipaahi The Ve
Phirr Bhi Wo Taane Sunte The
Karoodo.N Ko Khoyaa Humne
Tab Ye Aazaadi Paai Hai
Wo Jinko Humne Khoyaa Hai
Abb Nahi Wo Aane Waale
Wo Beez Hin Nahi Milti Ki
Phir Wahi Fasal Ugaa Paayain
Phir Wahi Jazba Ho Dil Main
Kahaana Se Waise Log Laayain
Main Ki Bhavna Khtam Ho
Hu+M=hum Ko Hum Jod Paayain
Apno.N Ke Samman Ki Khaatir
Apna Sir Jhuka Paayain
Baat Ko Gar Suljhaana Ho Toh
Baat Ko Hum Samjh Paayain
Bhdkaane Waale Log Bahut Hain
Hum Khudd Hin Sambhal Jaayain
Ghar Ko Sukhi Banana Ho Toh
Ma Ko Hum Khush Rakh Paayain
Samaaj Ko Sukhi Banaana Ho Toh
Achchi Soch Hum Apna Paayain
Bhart Ma Ki Laaz Ki Khatir
Taanashaahi Se Bach Paayain
Insaaniyat Bani Rahe Jag Main
Dusro.N Ka Dukh Apna Paayain
Ek Duje Ke Pyaar Ko Apnakar
Pyara Sa Sansaar Banaayain.
Kyunki………
Karodo.N Kii Khoon Se Sazi Hai
Ye Khushiyaan Humaari….
Laaz Rakh Lain Hum Un Balidaano Ka
Jin Se Sazi Hai _khushiya.N Humaari .