Laakhon Ki Sunaa Tum Ne Taqadir Sanvaari Hai
Mujh Se Yahi Kah Dete Ab Ke Teri Baari Hai
Daali Hai Nazar Jab Se Ek Nashaa Saa Taari Hai
Kyaa Koi Pari Saaqi Shishe Mein Utaari Hai
[Taari= Spreading/ Happening]
Kyaa Us Ko Rijhaayenge Jannat Ke Hasin Jalve
Dahaliz Tere Dar Ki Jis Shakhs Ko Pyaari Hai
[Rijhaanaa=to Please/charm, Jannat=heaven]
[Jalvaa=splendour/display/show, Dahaliz=threshold]
Virase Mein Mili Ham Ko Shaahi Bhi Faqiri Bhi
Aur Gam To “Shafaq” Goyaa Jaagir Hamaari Hai
[Virase=inheritance/heritage, Shaahi=royalty]
[Faqiri=poverty/humility, Goyaa=as If, Jaagir=property/estate]