Kyun Sunta Nahin Tu Bhee Aaj Kal,
Khudaya Tujhe Bhee Meri Fikar Naa Rahi.
Tere Iss Matlab Parast Jahan Mein,
Yaron Ko Bhee Meri Kadar Naa Rahi.
Mere Gharonde Ko Jisne Naa Kuchla,
Sagar Kii Aisi Koi Lahar Naa Rahi.
Pyase Ko To Katra Bhii Tha Bahot,
Teri Mujhpe Gawara Ye Mehar Naa Rahi.
Shams Ke Sang Kismat Bhii Chamakti,
Meri Zindagi Kii Aisi Koi Sahar Naa Rahi.
Anjaan Hue Hain Tere Mizaaze Shahar Se,
Tere Kooche Se Apni Bhi Ab Guzar Na Rahi.
Wo Bhi Naa Laut Ke Aaye Kabhi ‘Shaad’,
Shayad Apni Hii Duaon Mein Asar Naa Rahi…