Kyun Meine Aise Bad Shakhs Se Rasm-E-Mohabbat Nibhaayi Jise Meri Kadar Hii Nahii
Kyun Meine Aise Bad Shakhs Pe Aitbaar Kiya Jo Mere Iss Bharose Ke Laayak Hii Nahii
Kyun Basaayi Meine Aisi Kamzorr Daal Pe Apne Sunhaire Araamon Kii Yeh Bastee
Kyun Nahii Samajh Paayi Ke Yeh Abas* Daal Iss Basti Ko Savaarne Ke Laayak Hii Nahii
Abas-Useless*
Kyun Umeed Lagaayi Meine Iss Ujde Huye Chaman Se Bahaar Ke Khushnuma Phoolon Kii
Kyun Nahii Mein Jaan Saki Ke Yeh Khiza Pasand Chaman Bahaaron Ke Laayak Hii Nahii
Kyun Jalaayi Meine Apne Khushiyon Kii Chamakti Hui Lauh Iss Kaali Toofaani Raat Mein
Kyun Nahi Yeh Samajh Paayi Ke Yeh Zaalim Toofaan Is Nazuk Lauh Ke Laayak Hii Nahii
Kyun Banaayi Meine Iss Badnaseeb Saaye Ko Apne Takdeer Kii Lakeer O Mere Ilaahii
Kyun Nahii Mein Samajh Paayi Ke Ye Kamzarf Shakhs Zindaagi Kehlane Ke Layak Hii Nahii