Kyun Aaj Uska Zikr Mujhe Khush Na Kar Sakaa
Kyun Aaj Uska Naam Mera Dil Dukhaa Gaya
Ajnabi Chehre Bhi Ab To Aashna Lagne Lage
Dil Bahot Mamnoon Hai Teri Inaayat Ke Liye
Khaak Ta Khaak Wo Pehchaan Na Paya Hai Mujhe
Usne Har Baar Hawaaon Mein Udaya Hai Mujhe
Turk-E Ta’alluqaat Ko Ek Lamhaa Chaahiye
Lekin Tamaam Umr Mujhe Sochna Pada
Ab Tak Is Ummeed Pe Hun Mahve Intezaar
Shaayad Kisi Ufaq Se Wo Dega Sadaa Mujhe
Tha Kabhi Meri Nigaahon Mein Wafaa Ka Ek Maqaam
Ab Wafaa Ka Naam Sunkar Doob Sa Jata Hai Dil
Jo Khaab Dene Pe Qaadir Tha Meri Nazron Mein
Azaab Dete Huye Bhi Mujhe Khudaa Hi Laga.
Zindagi Teri Ataa Hai To Ye Jane Wala
Teri Bakhshish Teri Dahleez Pe Dhar Jaayega.
Mujhme Jo Rehta Hai Apni Fikar Kare Wo
Mera Kya Hai Main To Aik Din Mar Jaunga
Meri Saari Zindagi Ko Besamar Usne Kiya
Umr Meri Thi Magar Usko Basar Usne Kiya