Kyaa Tujhko Sunaaun Haal-E-Dil Apna
Kyaa Tujhko Dikhaaun Apni Kashmlash Ka Jahaan
Tu Abhi Is Des Say Nawaaqif Hai Meray Dost
Tunay Daikha Hi Nahi Abhi Koi Manzar Tanhaa
Tunay Piya Hi Nahi Jo Ghum-E-Ishq-O-Jahaan Ka Sum
Tu Samjhayga Phir Mera Tarpana Kyaa?
Tunay To Guzaari Hai Apni Umr Mefilon Kay Saayon Main
Ho Kay Bayparwaa Ya Reh Kay Khaufzadaa
Aur Daikhee Jo Har Charay Main Aisi Hi Baigairat Ki Jhalak
Tunay Isay Parakhany Ki Kabhi Koshis Hi Na Ki
Aaj Tu Aayaa Hai Meri Duniya Main
Aur Khara Hai Uljha-Uljha
Khwaabon Kay Abr Say Darta Darta
Ahsaas Kay Suraj Say Sehma-Sehma
Tak Raha Hai Meri Wusat-E-Tanhai Ko Beyaqeeni Say
Daikh Raha Hun Main Teri Aankhon Main Hairat Kay Nishaan
Kyaa Tujhko Sunaaun Haal-E-Dil Apna
Kyaa Tujhko Dikhaaun Apni Kasmkash Ka Jahaan?