Kyaa Karoon? Yaar, Teyrey Paas Aa Naheen Saktaa
Gazab To Yeh Hai, Tujhey Bhi Bulaa Naheen Saktaa
Mein Hoon Mashriq Mein Magar, Too Hai Wahaan Magrib Mein
Aur, Mein Magrib-O-Mashriq Milaa Naheen Saktaa
Sach Hai Rahtee Hai Jigar Mein Shadeed Beychainee
Tabeeb Koyee Khushee Ko Jilaa Naheen Saktaa
Abhi Bhi Jis Kaa Nashah Hai, Wahee Sharaab-E-Uyoon,
Mujh Ko Maaluum Hai, Koyi Dilaa Naheen Saktaa
Eik Hai, Jisney Pilaayee Hai Azal Sey Mujh Ko
Wahee Aseer#, Ab Wahee Pilaa Naheen Saktaa
Zeyhn-O-Dil Mein Hai Shokh Saaqiyah, Bharaa Pyaalaa
Mein Huun Majboor, Kyoun Ki Sir Hilaa Naheen Saktaa
Too Khilaataa Hai Hazaaroun Gulaab Har Lamhey
Eik Mein Huun, Ki, Eik Bhi Khilaa Naheen Saktaa
Haazirii Mein Huun, Surkh Gunchah-E-Gulaab Liye
Adhkhilaa Gul Muqeem*, Khilkhilaa Naheen Saktaa
-Ë—abd-‘, Qataar Mein Kharhaa Huun, Bheerh Hai Bhaaree
Raqeeb Hain Hazaar, Kar Gilaa Naheen Saktaa
# Grape-Wine, Baadah-E-Jabeeb, Dukhtar-E-Angoor
* Some One, Who Is To Stay Only For A Short Period